Iss shadeed garmi ke mausam me insaan hi nahi, balki Allah Ta’ala ki tamam makhluq parinde (birds), kuttey, billi aur dusre jaanwar bhi sakht takleef ka samna kar rahe hain. Pani ki kami unke liye zindagi aur maut ka sabab ban sakti hai.
Hadees Shareef (Muslim sharif) ka mafhoom hai: “Tum Allah ki makhluq par raham karo, Allah tum par raham karega.”
Yeh sirf ek naseehat nahi, balki hamare liye ek zimmedari hai aur ek nek amal hai.
🐦 Aap kya kar sakte hain?
Iss nek kaam me hissa lein:
Apne ghar ke bahar chhote pani ke bartan (pots) rakhein
Balcony, window ya terrace par pani bhar kar rakhein
Makan, Dukan ke bahar ek kone me pani ka intezam karein
Road par rehne wale kuttey aur billi ke liye pani ka bowl rakhein
❤️ Chhoti si koshish, bada ajr
Sochiye, jab koi pyasa parinda pani peeta hai ya koi be-zubaan jaanwar apni pyaas bujhata hai to yeh aapke liye sadaqa-e-jariya ban sakta hai.
Aaj aap kisi par raham karenge, Allah Ta’ala aap par apni rehmat barsayega.
📢 Appeal
Paigame Saiyed Charitable Trust aap sab se guzarish karta hai ke iss garmi me zyada se zyada log is Amal ko apnaye. Apne doston, rishtedaron aur padosiyon tak bhi yeh paighaam pahunchayein.
👉 “Rehmat baantoge, Rehmat paoge”
Allah Ta’ala humein apni makhluq ki khidmat karne ki taufeeq ata farmaye. Ameen.